ḳhvāb-nagar ke shahzāde ne aise bhī nirvān liyā
chāñd sajāyā āñkhoñ meñ aur raat ko sar par taan liyā
duniyā-dārī khel-tamāsha ishq-o-mohabbat rāhat-e-jāñ
aag meñ apnī jal kar ham ne ban bargad ye gyaan liyā
vo āñkheñ hī aisī thiiñ ham Duub ga.e anjāne meñ
jaan ke kis ne TūTī-phūTī kashtī meñ tūfān liyā
kaun sā pardā ham se thā tum dil kī bāteñ kah sakte the
muft meñ tum ne baat baḌhā.ī ġhairoñ kā ehsān liyā
hirs-o-havas kā daur hai is meñ bikte haiñ sab rishte-nāte
jaan pe apnī kyuuñ kar tum ne auroñ kā bohtān liyā
vāqif kab thā pyaar se pahle lekin 'zākir' pyaar ke ba.ad
qismat rekhā husn-o-adā aur nāz-o-jafā sab jaan liyā