hasīñ yādeñ sunahre ḳhvāb pīchhe chhoḌ aa.e haiñ
muhājir kī kahānī meñ hazāroñ moḌ aa.e haiñ
na khul paayā kabhī bāb-e-mohabbat kam-nasīboñ par
fasīl-e-shahr-e-jānāñ se ka.ī sar phoḌ aa.e haiñ
bashar kī be-sabātī bhī kisī se hal na ho paa.ī
zamīñ se chāñd tāroñ tak sabhī sar joḌ aa.e haiñ
mile roTī ke TukḌe kuchh magar tum ye bhī socho kab
shikam kī aag meñ ham ahd-o-paimāñ toḌ aa.e haiñ
pilā de apne hāthoñ se zarā ik jaam ai saaqī
tire mai-kash dar-o-dīvār-o-dirham chhoḌ aa.e haiñ