Zakir Khan Zakir

muddat hui na mujhse mera rabta hua

Zakir Khan Zakir

Malegaon, Maharashtra, India

1975
muddat huī na mujh se mirā rābta huā
ḳhud ko talāsh karte hue gum-shuda huā
sab rahnumā hai kaun kisī aur kī sune
manzil se duur yuuñ hī nahīñ qāfila huā
aise milā vo aaj mujhe ajnabī lagā
milnā bhī jaise us kā koī sāneha huā
lagtī hai ab fuzūl tire qurb kī duā
honā thā jab qarīb tabhī fāsla huā
maiñ ne to bas kahā thā use jāntā huuñ maiñ
phir shahr meñ ham hī pe baḌā tabsira huā
josh-e-junūñ meñ chupke se shah-rag hī kaaT lī
kahne ko ko log kahte rahe hādisa huā
ḳhāmosh do diloñ meñ kahīñ mel thā zarūr
varna thā kyā sabab ki judā rāsta huā
'zākir' ye zindagī kī haqīqat sarāb hai
jab āgahī milī to yahī tajraba huā
Top Urdushayar.com