maiñ kis kī khoj meñ is karb se guzartā rahā
ki shāḳh shāḳh pe khiltā rahā bikhartā rahā
mujhe to itnī ḳhabar hai ki musht-e-ḳhāk thā maiñ
jo chaak mohlat-e-girya pe raqs kartā rahā
ye saañs bhar mire hisse kā ḳhvāb kaisā thā
ki jis meñ apne lahū se maiñ rañg bhartā rahā
ajiib jañg rahī merī mere ahd ke saath
maiñ us ke jaal ko vo mere par katartā rahā
unhoñ ne mujh ko samundar hī dekhne na diyā
ki ghar kā ghar hī mire Dūbne se Dartā rahā