dard shāyān-e-shān-e-dil bhī nahīñ
aur shab-e-hijr mustaqil bhī nahīñ
yuuñ gale mil ke fā.eda kyā hai
zaḳhm andar se mundamil bhī nahīñ
vasl bhī hai firāq bhī is meñ
mausam-e-ishq mo.atadil bhī nahīñ
har kisī se ye mel kyuuñ khaa.e
dil to phir dil hai āb-o-gil bhī nahīñ
soch hai kuchh haqīqateñ kuchh haiñ
ḳhvāb-e-ta.abīr muttasil bhī nahīñ
ab bhī jaarī hai raqs miTTī kā
saañs ke taar muzmahil bhī nahīñ
ham jo rūThe haiñ jaan se 'zākir'
rabt TuuTā hai munfasil bhī nahīñ