Zakir Khan Zakir

kya bataen gham-e-furqat mein kahan se guzre

Zakir Khan Zakir

Malegaon, Maharashtra, India

1975
kyā batā.eñ ġham-e-furqat meñ kahāñ se guzre
mausam-e-gul se jo nikle to ḳhizāñ se guzre
dil se āñkhoñ se makīnoñ se makāñ se guzre
dard phir dard hai jab chāhe jahāñ se guzre
husn kī shoḳh-sarī kā yahī hāsil niklā
ātish-e-ishq baḌhī āh-o-fuġhāñ se guzre
raqs karte hī rahe ḳhvāb dhunoñ par lekin
saañs ke taar sabhī soz-e-nihāñ se guzre
bā-vazū ho ke mirā zikr jo karte the kabhī
aaj palTe haiñ zabāñ se vo bayāñ se guzre
vo mohabbat ho ke īsār-o-vafā ho 'zākir'
ishq ke tiir shab-o-roz kamāñ se guzre
Top Urdushayar.com