dard ko zabt kī sarhad se guzar jaane do
ab sameTo na hameñ aur bikhar jaane do
ham se hogā na kabhī apnī ḳhudī kā saudā
ham agar dil se utarte haiñ utar jaane do
tum ta.ayyun na karo apnī hadoñ kā hargiz
jab bhī jaise bhī jahāñ jaa.e nazar jaane do
itnā kaafī hai ki vo saath nahīñ hai mere
kyuuñ huā kaise huā chaak jigar jaane do
dil jalāo ki taḳhayyul kā jahāñ raushan ho
tīrgī ḳhatm karo raat sañvar jaane do
ishq saanī hai to phir us meñ shikāyat kaisī
ham na kahte the ki ik zaḳhm hai bhar jaane do
yaar ma.amūl pe lauT ā.eñge kuchh sabr karo
us fusūñ-gar kī nigāhoñ kā asar jaane do
shart jiinā hai bhaTaknā to bahāna hai faqat
vo jidhar jaatā hai har shām-o-sahar jaane do
maiñ ne rokā thā use is kā havāla de kar
ruuTh kar phir bhī vo jaatā hai agar jaane do
ḳhush-gumāñ hai vo bahut jiit pe apnī 'zākir'
ham bhī chal sakte the ik chaal magar jaane do