ai qalandar aa tasavvuf meñ sañvar kar raqs kar
ishq ke sab ḳhārzāroñ se guzar kar raqs kar
aql kī vus.at bahut hai ishq meñ fursat hai kam
aql kī ayyāriyoñ ko darguzar kar raqs kar
dar-ba-dar kyuuñ DhūñDhtā phirtā hai nādīda sanam
apne dil ke aa.ine par ik nazar kar raqs kar
ye jahāñ ik mai-kada kam-zarf hai saaqī tirā
is ḳharābe se pare shām-o-sahar kar raqs kar
rustam-o-dārā sikandar mil ga.e sab ḳhaak meñ
ban ke sarmad zindagī apnī basar kar raqs kar
is zamīñ par jism-e-ḳhākī zehn-o-dil ho arsh par
yuuñ kabhī 'zākir' riyāzat meñ bikhar kar raqs kar