Zakir Khan Zakir

palkon pe tairte hue mahshar tamam-shud

Zakir Khan Zakir

Malegaon, Maharashtra, India

1975
palkoñ pe tairte hue mahshar tamām-shud
āñkheñ khulīñ to ḳhvāb ke manzar tamām-shud
zinda hai bhuuk aaj bhī ifrīt kī tarah
tīr-o-tafañg-o-lashkar-o-ḳhanjar tamām-shud
logo tum apne zarf se baḌh kar diyā karo
is baar zaḳhm bhar ga.e nashtar tamām-shud
tahrīr kar rahā thā kahānī junūñ kī maiñ
lekin ḳhayāl-o-fikr kā mehvar tamām-shud
ḳhud apnā aks ā.inoñ meñ DhūñDte haiñ log
shīsha-garoñ ke shahr meñ paikar tamām-shud
jab dhuup oḌhe baiThī ho ġhurbat qatār meñ
samjho ḳhudī kā āḳhirī zevar tamām-shud
'zākir' rachī-basī koī sāzish fazā meñ thī
uḌne se peshtar merā shahpar tamām-shud
Top Urdushayar.com