ā.īna-e-ḳhayāl tire rū-ba-rū kareñ
jitnī shikāyateñ haiñ sabhī dū-badū kareñ
jalne lagā hai ab to ye sāñsoñ kā pairahan
māyūsiyoñ kī aag se kab tak rafū kareñ
ahbāb ke ḳhulūs meñ ab vo kashish kahāñ
phir kyā mileñ kisī se koī aarzū kareñ
ahl-e-junūñ ke haq meñ hai hukm-e-ḳhudā yahī
tablīġh-e-dard harf-o-sadā kū-ba-kū kareñ
arz-o-samāñ ke beach muallaq hai kyuuñ duā
'zākir' chalo ki tuur pe kuchh guftugū kareñ