Zakir Khan Zakir

ek ishq-e-na-tamam hai ruswaiyan tamam

Zakir Khan Zakir

Malegaon, Maharashtra, India

1975
ik ishq-e-nā-tamām hai rusvā.iyāñ tamām
ugne lagī haiñ jism meñ tanhā.iyāñ tamām
kyā shahr-e-ārzū thā basā aur ujaḌ gayā
ab sar-kashīda phirtī haiñ purvā.iyāñ tamām
sāñsoñ ke zer-o-bam se hai sāġhar meñ iztirāb
jām-o-subū se pur-asar añgḌā.iyāñ tamām
roz-e-azal se sochte zehnoñ kī ham-safar
sahrā kī dhuup aur ye parchhā.iyāñ tamām
harf-o-sadā kī lai pe jo utrā tirā ḳhayāl
bajne lagī haiñ ġhazloñ meñ shahnā.iyāñ tamām
garche piro.e sher meñ jazbāt-e-rañg-o-bū
lekin bayāñ na ho sakīñ gahrā.iyāñ tamām
uThte rahe haiñ shaan se yārān-e-mai-kada
hotī rahī haiñ dahr se ra.anā.iyāñ tamām
aamad kā silsila nahīñ sher-o-suḳhan meñ aaj
phailī huī haiñ qāfiya-paimāeyāñ tamām
'zākir' nashist-e-dard maqām-e-ḳhirad bhī hai
mansūb is ḳhirad se hai bīnā.iyāñ tamām
Top Urdushayar.com