uruuj us ke liye thā zavāl mere liye
nazar nazar meñ rahā ik savāl mere liye
haqīqateñ sabhī mansūb un ke nāmoñ se
sarāb ḳhvāb tasavvur ḳhayāl mere liye
maiñ ik parinda huuñ masrūf-e-rizq kī ḳhātir
udhar haiñ ahl-e-nasheman niDhāl mere liye
dayār-e-ġhair meñ shām-o-sahar aziyyat hai
dayār-e-dil meñ Thaharnā muhāl mere liye
maiñ apne hisse kī furqat ke ba.ad ā.ūñgā
zarā salīqe se ḳhud ko sambhāl mere liye
vo muntazir thā sharāb-e-nazar liye 'zākir'
ghaTā ne khol ke rakkhe the baal mere liye