Zakir Khan Zakir

dil ke bujhte hue zaKHmon ko hawa deta hai

Zakir Khan Zakir

Malegaon, Maharashtra, India

1975
dil ke bujhte hue zaḳhmoñ ko havā detā hai
roz aatā hai nayā ḳhvāb dikhā detā hai
us kā andāz-e-masīhā.ī nirālā sab se
chāragar hosh meñ aane pe davā detā hai
har qadam ḳhaak meñ kuchh ḳhvāb milāte rahnā
hijr kī raat yahī shaġhl mazā detā hai
marne jiine kā kahāñ hosh tire rindoñ ko
pā-e-vahshat bhī ajab naqsh banā detā hai
dastakeñ detā hai paiham dar-e-dil par koī
ek saaya mujhe nīñdoñ se jagā detā hai
phuul sā lahja huā kartā thā jis kā 'zākir'
ab vo bātoñ meñ koī baat banā detā hai
Top Urdushayar.com