Zakir Khan Zakir

KHayal-o-KHwab mein Dubi diwar-o-dar banati hain

Zakir Khan Zakir

Malegaon, Maharashtra, India

1975
ḳhayāl-o-ḳhvāb meñ Duubī dīvār-o-dar banātī haiñ
kuñvārī laḌkiyāñ aksar havā meñ ghar banātī haiñ
kabhī ġhamza kabhī ishva kabhī shoḳhī kabhī mastī
adā.eñ bāñkpan meñ sandalī paikar banātī haiñ
hiseñ āñchal meñ pinhāñ kahkashā.eñ raat hone par
ghanī zulfoñ pe raqsāñ dilrubā manzar banātī haiñ
jhukī palkoñ pe Thahre āñsuoñ par ho gumāñ aisā
ki jaise sīpiyāñ āġhosh meñ gauhar banātī haiñ
mohabbat kā karishma hai ki ulfat kī karāmat hai
hasīnā.eñ taḳhayyul meñ mah-o-aḳhtar banātī haiñ
lagegī paar kaise kashti-e-dil soch lo 'zākir'
talātum-ḳhez nazreñ roz jab sāġhar banātī haiñ
Top Urdushayar.com