Zakir Khan Zakir

zindagani ki haqiqat tab hi khulti hai miyan

Zakir Khan Zakir

Malegaon, Maharashtra, India

1975
zindagānī kī haqīqat tab hī khultī hai miyāñ
kār-zār-e-zīst kī jab nabz ruktī hai miyāñ
roz ham ta.amīr karte haiñ fasīl-e-jism-o-jāñ
roz jism-o-jāñ se koī iiñT girtī hai miyāñ
ḳhvāb se kah do hudūd-e-chashm se bāhar na ho
aañkh se ojhal har ik ta.abīr chubhtī hai miyāñ
kal yahī chehre bahār-e-husn kī pahchān the
aaj un chehroñ se gard-e-umr uḌtī hai miyāñ
ḳhvāb hasrat ashk uljhan nāla-o-faryād-o-ġham
kisht-e-jāñ meñ roz fasl-e-dard ugtī hai miyāñ
jhuuT hai jab ḳhvāhish-e-nām-o-numūd-o-taḳht-o-tāj
jhuuT kī ḳhvāhish meñ kyuuñ kar umr kaTtī hai miyāñ
vasl kā darkār haiñ kuchh hijr ke lamhāt bhī
vasl kī ḳhvāhish meñ shiddat yuuñ hī baḌhtī hai miyāñ
dekh kar 'zākir' ġharīb-e-shahr kī fāqa-kashī
maut apne aap sau sau baar martī hai miyāñ
Top Urdushayar.com