haa.il diloñ kī raah meñ kuchh to anā bhī hai
ġhāfil samajh rahā hai vahī bā-vafā bhī hai
aadat burī hai ġham meñ sahāroñ kī dosto
tanhā sulagte rahne kā apnā maza bhī hai
ham ne baḌe hī pyaar se rishte sajā.e the
ab tum kaho ki rishtoñ meñ kyā kuchh bachā bhī hai
ik rabt-e-mustaqil hai isī rahguzar ke saath
jis rahguzar pe qāfla-e-dil luTā bhī hai
ham rahravān-e-shahr-e-tamannā ko kyā pata
manzil rah-e-talab se kahāñ tak judā bhī hai
hai aa.ine meñ aks mirā zāhirī magar
bātin meñ jhāñkiye ki vo mujh se judā bhī hai
mazlūm-e-husn huuñ so na tanhā samajh mujhe
jis kā nahīñ hai koī to us kā ḳhudā bhī hai
be-ḳhauf bāñTte raho zulmat meñ nuur tum
apnī tapish se kyā koī jugnū jalā bhī hai
paḌhiye mujhe salīqe se phir sochiye janāb
kyā dard-e-mustaqil hai maraz lā-davā bhī hai
'zākir' ye tāj-o-taḳht hai mansūb un ke naam
jin ke saroñ pe sāya-e-bāl-e-humā bhī hai