chup ke sahrā meñ faqat ek sadā kaun huuñ maiñ
ai ḳhudā tū hī batā mujh ko zarā kaun huuñ maiñ
Dūbtā huuñ to ubhar jaatā huuñ lamha-bhar maiñ
kis ke hoñToñ pe huuñ maiñ harf-e-duā kaun huuñ maiñ
apnī hī zaat kī tashrīh nahīñ kar saktā
rok letī hai mujhe merī anā kaun huuñ maiñ
vasl ne mere tashaḳhḳhus ko sambhāle rakkhā
hijr-o-vahshat se kabhī pūchh zarā kaun huuñ maiñ
maiñ zamīñ-zād bhulā baiThā huuñ mansab apnā
hai ḳhabar apnī na apnā hai pata kaun huuñ maiñ
us ke jaane se ye mahsūs huā hai 'zākir'
hai mirī ruuh alag jism judā kaun huuñ maiñ