Zakir Khan Zakir

raat ka husn bhala kab wo samajhta hoga

Zakir Khan Zakir

Malegaon, Maharashtra, India

1975
raat kā husn bhalā kab vo samajhtā hogā
chāñd be-faiz añdheroñ meñ nikaltā hogā
chand lamhoñ kī rifāqat kā asar hai shāyad
dard mīThā sā kahīñ aur bhī uThtā hogā
hichkiyoñ se yahī andāza lagāyā ham ne
yaad koī to dil-o-jān se kartā hogā
saath guzre hue mausam kā tasavvur le kar
bārishoñ meñ vo har ek saal bahaktā hogā
bas yahī soch ke har roz likhā kartā huuñ
vo mirā ġham mire ash.ār meñ paḌhtā hogā
us ke ashkoñ kā gunāhgār maiñ ho jā.ūñgā
vo mujhe yaad agar kar ke sisaktā hogā
yaad hoñgī use bhūlī huī qasmeñ 'zākir'
vo mire zikr pe chup-chāp Thahartā hogā
Top Urdushayar.com