sukūt-e-shab meñ dil-e-dāġh-dāġh raushan hai
ki zaḳhm zaḳhm nahīñ hai charāġh raushan hai
abhī junūn salāmat hai merā jān-e-ġhazal
kiran kiran hai tasavvur dimāġh raushan hai
ajab majāz-o-haqīqat hai ḳhitta-e-duniyā
jahāñ pe hans to maile haiñ zaaġh raushan hai
visāl-e-yār ke lamhe haiñ aarzī lekin
mashām-e-jāñ meñ magar sabz-bāġh raushan hai
abhī hai dasht meñ zinda firāq-e-lailā.ī
agarche ḳhatm fasāna surāġh raushan hai
ġhazāl āñkheñ haiñ aisī ki kyā kahūñ 'zākir'
gulāb chehre pe do do ayāġh raushan hai