Zakir Khan Zakir

dhup the sab raste darkar tha saya hamein

Zakir Khan Zakir

Malegaon, Maharashtra, India

1975
dhuup the sab rāste darkār thā saaya hameñ
ik sarāb-e-ḳhush-numā ne aur tarsāyā hameñ
dil zamīñ par us kā chehra naqsh ho kar rah gayā
bārhā phir aa.ine ne ḳhud hī Thukrāyā hameñ
dhuup sahrā dhuul dariyā ḳhaar rastoñ kī chubhan
manziloñ ke shauq ne kyā kyā na dikhlāyā hameñ
mustarad kartā gayā hai dilrubā chehroñ ko dil
ba.ad us ke koī chehra kab bhalā bhāyā hameñ
ham kahīñ ma.atūb the majzūb the mahbūb the
jis kī jaisī thī nazar us ne vahī paayā hameñ
dard-o-rāhat vasl-o-furqat ishq ke haiñ rañg-o-rūp
jaate jaate us ne 'zākir' ḳhuub samjhāyā hameñ
Top Urdushayar.com