Zakir Khan Zakir

ghazal ke shanon pe KHwab-e-hasti ba-chashm-e-pur-nam Thahar gae hain

Zakir Khan Zakir

Malegaon, Maharashtra, India

1975
ġhazal ke shānoñ pe ḳhvāb-e-hastī ba-chashm-e-pur-nam Thahar ga.e haiñ
ye kis ne chheḌī hai tān-e-māzī rabāb-o-sargam Thahar ga.e haiñ
firāq rut meñ akelā manzil kī justujū meñ nikal paḌā huuñ
visāl lamhoñ ke ham-qadam vo qadam damā-dam Thahar ga.e haiñ
abhī to sochā thā terī mahfil meñ ham na ā.eñge ab dobāra
ye kis sadā kā gumāñ huā hai ki yak-ba-yak ham Thahar ga.e haiñ
vo saath jab tak rahe hamāre bahār apne shabāb par thī
vo kyā ga.e ki dil-o-nazar meñ udaas mausam Thahar ga.e haiñ
mohabbatoñ ke safīr ham haiñ judā hai tarz-e-safar hamārā
jahāñ bhī zikr-e-vafā milā hai vahāñ pe paiham Thahar ga.e haiñ
ajal kī kirnoñ se ham kisī pal bhī ḳhushk hone ke muntazir haiñ
bahut ġhanīmat hai chand lamhe jo misl-e-shabnam Thahar ga.e haiñ
prem-agnī meñ jhulse nainā ye pūchh baiThe haiñ aaj phir se
ki barkhā rut meñ sakhī batā tū kahāñ pe bālam Thahar ga.e haiñ
jahāñ pe kal tak thī chhāñv 'zākir' vahīñ pe Thahrī hai dhuup ab ke
ajab sitam hai kahīñ pe aa kar kahīñ ke mausam Thahar ga.e haiñ
Top Urdushayar.com