Nisar Nasik

sambhal ke dekha to kanch sa jism kirchiyon mein baTa hua tha

Nisar Nasik

1943-2019
sambhal ke dekhā to kāñch sā jism kirchiyoñ meñ baTā huā thā
ḳhabar nahīñ hai ki mere andar vo ik dhamāka sā kiyā huā thā
vo kho gayā thā to yuuñ lagā thā ki izzat-e-nafs luT ga.ī hai
maiñ roz ke milne vaale logoñ meñ ik khilaunā banā huā thā
ḳhizāñ kī vo sard raat bhī maiñ ne ghar se bāhar guzār dī thī
ki mere bistar pe laash ban kar mirā hī saaya paḌā huā thā
sab apnī apnī sadā ke parcham supurd-e-shab kar ke so chuke the
bas ek maiñ hī muhīb lamhoñ ke lashkaroñ meñ ghirā huā thā
jise vo sāñsoñ kī loriyoñ se mire badan meñ sulā ga.ī thī
palaT ke aa.ī to vo chahaktā sharīr bachcha marā huā thā
ye ek parchhā.īñ sī jo sadiyoñ se mere ham-rāh chal rahī hai
yahī mirā harf-e-ibtidā hai maiñ jis se ik din judā huā thā
Top Urdushayar.com