tum kyā sāhab aur tumhārī baat hai kyā
dhartī kī ākāsh tale auqāt hai kyā
sirf junūñ hai us ke sivā ye kuchh bhī nahīñ
pyaar na dekhe nasl hai kaisī zaat hai kyā
pūchh rahī haiñ ruuTh ke jaatī ḳhushiyāñ bhī
jiit se pahle jīvan path par maat hai kyā
ham kyā jāneñ ham ne añdherā oḌh liyā
is kī adā kyā ḳhvāhish kyā jazbāt hai kyā
baḳht kā taara shaam se pahle Duub gayā
raat ga.e ab tāroñ kī bārāt hai kyā
tere saare ḳhvāb hī 'zākir' bhiig chuke
dil kī zamīñ par ashkoñ kī barsāt hai kyā