ḳhaak sahrāoñ kī palkoñ pe sajā lī ham ne
zindagī jaisī milī hañs ke nibhā lī ham ne
jām-e-ġham piite rahe mai kā sahārā na liyā
darmiyāñ dard ke ik raah nikālī ham ne
shahr-dar-shahr phire dasht-o-daman meñ bhaTke
masnad-e-qais dil-o-jāñ se sambhālī ham ne
ham bhī ashkoñ kī tijārat kā hunar rakhte haiñ
ashk arzāñ the bahut sharh baḌhā lī ham ne
lamha lamha tire ehsās ne karvaT badlī
raat ḳhvāboñ pe jamī gard haTā lī ham ne
ham se pūchhā thā kisī ne ki mohabbat kyā hai
be-ḳhudī meñ tirī tasvīr banā lī ham ne
ruuTh kar shahr-e-nigārāñ ke chalan se 'zākir'
apnī duniyā hī bahut duur basā lī ham ne