zamīn-e-ishq-o-vafā pe uḌtī hikāyateñ bhī na.ī nahīñ haiñ
lahū kī gardish meñ raqs kartī rifāqateñ bhī na.ī nahīñ haiñ
mohabbatoñ ke ye faisle to ḳhudā-e-bartar ne likh rakhe haiñ
kahāñ talak ham bachā.eñ dāman ye chāhateñ bhī na.ī nahīñ haiñ
agarche dekhe haiñ zulf-o-lab ke hasīn sapne to kyā ġhalat hai
nazar ke khetoñ meñ ḳhvāb bone kī hasrateñ bhī na.ī nahīñ haiñ
bahār aate hī yuuñ lagā ki chaman darīda-dahan huā hai
gulāb-rut meñ chaman pe nāzil ye āfateñ bhī na.ī nahīñ haiñ
pata nahīñ kyuuñ vo ḳhush bahut hai fuzūl masnad-nashīn ho kar
sagān-e-masnad kī fātehāna himāqateñ bhī na.ī nahīñ haiñ
jhukī nazar se kalām kar ke asiir kar le vo āshiqoñ ko
nazar nazar meñ nazar churāne kī ādateñ bhī na.ī nahīñ haiñ
sanam kī ik ik adā pe 'zākir' na.ī ġhazal kī hai kyā zarūrat
sharārteñ bhī na.ī nahīñ haiñ nazākateñ bhī na.ī nahīñ haiñ