umr guzrī hai kāmrānī se
koī shikva nahīñ javānī se
misl-e-ādam hai be-gharī apnī
kaun Dartā hai be-makānī se
yuuñ musalsal azaab jhelā hai
ashk lagne lage haiñ paanī se
ham hī kirdār the kahānī ke
ham hī bāhar hue kahānī se
sach chhupānā muhāl hai sāhab
jhuuT se yā ki lan-tarānī se
kyā vo pariyāñ qamar-asīr huiiñ
sunte aa.e the ham jo naanī se
zulmatoñ meñ bhī hans ke khul jaanā
us ne sīkhā hai rāt-rānī se
bāñjh āñkheñ huiiñ magar 'zākir'
ḳhvāb aate rahe ravānī se