badan ke dosh pe sāñsoñ kā maqbara maiñ huuñ
ḳhud apnī zaat kā nauha huuñ marsiya maiñ huuñ
bilā-sabab bhī nahīñ yāsiyat tabī.at meñ
azal se ḳhāna-badoshī kā silsila maiñ huuñ
mirā vajūd tumhārī baqā kā zāmin hai
tumhāre an-kahe jazboñ kā aa.ina maiñ huuñ
bahāreñ jis pe hoñ nāzāñ chaman bhī rashk kare
nazar-navāz rutoñ kā vo qāfila maiñ huuñ
bichhaḌ ke mujh se abas manziloñ kī chāhat hai
jidhar bhī jāoge har-samt rāsta maiñ huuñ
un āhaToñ pe mirī vahm kā gumāñ kaisā
maiñ kah chukā huuñ mirī jaan bārhā maiñ huuñ
ġhazal hai koī to maiñ bhī huuñ lāzmī hissa
kisī hayāt ke misre meñ qāfiya maiñ huuñ
tumheñ ḳhabar ho to denā pata mujhe 'zākir'
jise talāsh hai ḳhud kī vo gum-shuda maiñ huuñ