Zakir Khan Zakir

labon ki jumbish nawa-e-bulbul hai shoKH lahja tera qayamat

Zakir Khan Zakir

Malegaon, Maharashtra, India

1975
laboñ kī jumbish navā-e-bulbul hai shoḳh lahja tirā qayāmat
darāz qāmat ġhazāl āñkheñ gulāb chehra tirā qayāmat
ghaTā.eñ zulfeñ ḳhumār palkeñ mahīn āñchal pe māh-o-anjum
suhānī rātoñ kī chāñdnī meñ hai chhat pe jalva tirā qayāmat
zamīn-e-dil par adā-e-dilbar chalā.e nashtar uThā.e mahshar
nazar uThānā nazar jhukānā har ek harba tirā qayāmat
guloñ kī laalī shagufta aariz pe fasl-e-gul kī safīr Thahrī
nashīle lab kī halāvatoñ se dhaḌaktā naġhma tirā qayāmat
jo tū ne khole havā meñ gesū mahak uThā hai tamām gulshan
hasīn sumbul ke darmiyāñ hai damaktā chehra tirā qayāmat
tire shabistāñ ke goshe goshe meñ raushnī kā zuhūr har-pal
aqīdatoñ ke diye se raushan nafīs kamra tirā qayāmat
kañval badan par machaltī sāñseñ chhalakte sāġhar kī tarjumāñ hai
gudāz bāñheñ surāhī gardan sarāpā naqsha tirā qayāmat
vafā.eñ mujh se jafā.eñ mujh se adā.eñ har-pal yahī haiñ 'zākir'
kabhī hai ġhamza kabhī hai ishva ye naaz naḳhra tirā qayāmat
Top Urdushayar.com