Zakir Khan Zakir

usne nigah-e-lutf-e-karam bar bar ki

Zakir Khan Zakir

Malegaon, Maharashtra, India

1975
us ne nigāh-e-lutf-e-karam baar baar kī
ab ḳhairiyat nahīñ hai dil-e-be-qarār kī
Dar ye hai khul na jaa.e kahīñ rāz-e-ishq bhī
nibhne lagī hai un se mire rāzdār kī
sab ke nasīb meñ hai kahāñ mauj-e-dard-o-ġham
maḳhsūs haiñ ināyateñ parvardigār kī
yādoñ kī anjuman meñ unheñ bhī bulā liyā
ik shaam yuuñ bhī ham ne bahut yādgār kī
jab ham hī fasl-e-gul meñ chaman se nikal ga.e
phir kyuuñ sunā rahe ho kahānī bahār kī
'zākir' ham apnā dil bhī vahīñ chhoḌ aa.e haiñ
kis darja pur-kashish thī fazā us dayār kī
Top Urdushayar.com