Zakir Khan Zakir

peT ki aag mein barbaad jawani kar ke

Zakir Khan Zakir

Malegaon, Maharashtra, India

1975
peT kī aag meñ barbād javānī kar ke
panchhī lauTe haiñ abhī naql-e-makānī kar ke
ḳhāna-e-dil meñ ghaḌī-bhar ko Thaharnā hai unheñ
phir guzar jā.eñge har baat purānī kar ke
ishq iz.hār kā tālib hai na matlūb-e-nazar
fā.eda kyā hai miyāñ sho.ala-bayānī kar ke
ab vahāñ ḳhaak uḌā kartī hai armānoñ kī
ham chale aa.e the manzil pe nishānī kar ke
paar lag jā.egā sāñsoñ kā safīna ik roz
dhaḌkanoñ meñ tirī yādoñ se ravānī kar ke
chand lamhoñ kā mirā us kā safar thā aisā
raat ho jaise kahīñ shaam suhānī kar ke
us kī nazroñ meñ haqīqat hai fasāna 'zākir'
chhoḌ jā.egā mujhe ab vo kahānī kar ke
Top Urdushayar.com