ehsās kā qissa hai sunānā to paḌegā
har zaḳhm ko ab phuul banānā to paḌegā
mumkin hai mire sher meñ har raaz ho lekin
ik raaz pas-e-sher chhupānā to paḌegā
āñkhoñ ke jazīroñ pe haiñ nīlam kī qatāreñ
ḳhvāboñ kā janāza hai uThānā to paḌegā
chehre pe ka.ī chehre liye phirtī hai duniyā
ab aa.ina duniyā ko dikhānā to paḌegā
zehnoñ pe musallat haiñ siyah soch ke bādal
zulmat meñ diyā dil kā jalānā to paḌegā
vo dushman-e-jāñ jaan se pyārā bhī hameñ hai
rūThe vo agar us ko manānā to paḌegā
rishtoñ kā yahī vasf hai 'zākir' kī nazar meñ
kamzor sahī rishta nibhānā to paḌegā