Nisar Nasik

kis bharose pe nikalta ghar se bahar main akela

Nisar Nasik

1943-2019
kis bharose pe nikaltā ghar se bāhar maiñ akelā
chār-sū uThe hue hāthoñ meñ patthar maiñ akelā
maslahat-zādoñ kī naav sāhiloñ par jā lagī hai
rah gayā sailāb meñ pisar-e-payambar maiñ akelā
mere parcham par mirī rusvā.ī kī tahrīr hai
dushmanoñ se jā milā hai merā lashkar maiñ akelā
maiñ ye kis kū-e-hirāsāñ meñ huuñ tasvīr-e-savāl
sab khaḌe haiñ apne hī sāyoñ se lag kar maiñ akelā
sahn meñ aahaT hai koī aur na chhat par chaap hai
shaam hai aur be-dilī kī sīḌhiyoñ par maiñ akelā
mujh se bāhar zindagī āzādiyāñ ābādiyāñ
aur is tārīk se kamre ke andar maiñ akelā
sab ke a.amāloñ kī 'nāsik' lag chukī haiñ qīmateñ
rah gayā huuñ ab sar-e-bāzār-e-mahshar maiñ akelā
Top Urdushayar.com