Zakir Khan Zakir

pur-nur KHayalon ki barsat teri baaten

Zakir Khan Zakir

Malegaon, Maharashtra, India

1975
pur-nūr ḳhayāloñ kī barsāt tirī bāteñ
har shaḳhs ye kahtā hai naġhmāt tirī bāteñ
ruḳhsār hasīñ darpan āñkhoñ meñ hayā raushan
kirdār tirā sandal jazbāt tirī bāteñ
simTe to dil-e-āshiq phaile to jahāñ kam hai
sadiyoñ ko banā degī lamhāt tirī bāteñ
ab ḳhud se bhī milne kī fursat hī kahāñ ham ko
har shaam tirī mahfil har raat tirī bāteñ
nazreñ jo uThā do tum taare bhī chamak jaa.eñ
aur chāñd ko de jaa.e sauġhāt tirī bāteñ
aa jaatī hai milne ko har raat hameñ 'zākir'
phūloñ kī ridā oḌhe bārāt tirī bāteñ
Top Urdushayar.com