Najma Ansar

har ek samt hai chhaya sukut ka manzar

Najma Ansar

har ek samt hai chhāyā sukūt kā manzar
dhaḌak rahā hai magar zalzala mire andar
zamīñ kā zarf falak kā vaqār rakhte haiñ
zamīñ-nazhād sahī āsmān par hai nazar
Darā na pā.eñge ham ko ye sar-phire tūfāñ
ki mauj-e-azm to jā kar rukegī sāhil par
tujhe ye naaz ki mirrīḳh tak tū jā pahuñchā
magar nazar nahīñ aatā hai tujh ko apnā ghar
ye zulmatoñ ke pujārī haiñ in se kuchh na kaho
dikhā.ī dete haiñ bāhar se ā.ina-paikar
guzar rahī hai ajab kashmakash meñ merī hayāt
na chain ghar ke hai andar na ghar ke hai bāhar
ajiib shahr kā aalam hai aaj ai 'najma'
na sāmne koī manzar na ab hai pas-manzar
Top Urdushayar.com