lahū kā hunar āzmāte raheñge
charāġh āñdhiy.oñ meñ jalāte raheñge
zamāna sitam ham pe Dhātā rahegā
har ik ġham pe ham muskurāte raheñge
samāñ ho ḳhushī kā yā ġham kā ho mausam
ham apnā fasāna sunāte raheñge
raheñge ravāñ merī āñkhoñ se aañsū
sitāre yūñhī jhilmilāte raheñge
na badlegī jab tak fazā gulsitāñ kī
ham apne lahū meñ nahāte raheñge
musallat kahāñ tak raheñge añdhere
mire zaḳhm-e-dil jagmagāte raheñge
mohabbat ke dushman haiñ jitne bhī 'najma'
unheñ aa.ina ham dikhāte raheñge