Sara Khan

ai masiha mere kaisi ye masihai hai

Sara Khan

Gujranwala, Punjab, Pakistan

1983
ai masīhā mire kaisī ye masīhā.ī hai
itnī qurbat meñ bhī ik hijr hai tanhā.ī hai
mujh ko ābād karo mujh meñ koī rañg bharo
dil-e-muztar bhī bahāroñ kā tamannā.ī hai
us ne jaate hue dekhā na palaT kar tujh ko
tū hai dīvānī ki jīvan hī luTā aa.ī hai
sar-e-fihrist huuñ aġhyār kī fihrist meñ maiñ
aur kahne ko mirī tujh se shanāsā.ī hai
garche mīrās hai valiyoñ kī magar kyā kahiye
yaar ḳhāmosh raho ishq meñ rusvā.ī hai
Top Urdushayar.com