ḳhushbū kī qindīl jalā.ī aur sajā.ī shaam
shab ne dhīre se dastak dī aur bujhā.ī shaam
tere ḳhayāl se ḳhud ko sochā jagmag diip jale
terī aañkh se ḳhud ko dekhā aur muskā.ī shaam
tere dhyān kā kañgan chhankā Dheroñ saaz baje
terī yaad kā kājal pahnā aur sharmā.ī shaam
bāñheñ tan kā haar huiiñ sab lamhe bane gulāb
bulbul ne ik giit sunāyā aur shahnā.ī shaam
dīvānoñ ne dīvānoñ se pūchhā kaun hai vo
jis ke ishq meñ pāgal rainā aur shaidā.ī shaam
birhā aag meñ jal jal kar tan saarā raakh huā
raakh se uTThī ik siskārī aur kurlā.ī shaam
naināon kī badrī se jhar-jhar motī barseñ
chandarmā ne nazar utārī aur fidā.ī shaam