hazar kī āḳhirī had kā azaab honā paḌā
hameñ bhī maslahatan bāzyāb honā paḌā
tire havās pe taarī thā ab bichhaḌ jaanā
maiñ hosh meñ thī magar nīm-ḳhvāb honā paḌā
hameñ koī to sune ek aarzū meñ faqat
kisī ke haath meñ khele rabāb honā paḌā
tirī kitāb kā har lafz jis kā chehra thā
ye kyā sitam ki use sirf baab honā paḌā
tū shaah thā hī nahīñ faqr terā pesha thā
ho ḳhair terī tujhe kyoñ ḳharāb honā paḌā