mujhe sambhāl mirā haath thaam kar le jā
thakā huā huuñ ka.ī din kā mujh ko ghar le jā
giraft-e-gul se nikal kar bikhartā jaatā huuñ
mujhe havā ke paroñ meñ sameT kar le jā
jahāñ se maañg mire naam par hayāt kī bhiik
tū merā kāsa-e-ehsās dar-ba-dar le jā
jahān-e-past ko phir dekhne kī ḳhvāhish hai
shu.ūr-e-ġham mujhe ġham ke pahāḌ par le jā
ab us se aage har ik moḌ par añdherā hai
tū apne saath mire pyaar kī sahar le jā
tū jis kī raah meñ royā hai umr bhar 'nāsik'
vo sub.h raakh huī apnī jholī bhar le jā