Abdul Hadi Wafa

phir rag-e-shoala-e-jaan-soz mein nashtar guzra

Abdul Hadi Wafa

phir rag-e-sho.ala-e-jāñ-soz meñ nashtar guzrā
naala kyuuñ ābla-e-dil se ulajh kar guzrā
maiñ huuñ dil-dārī-e-afsūn-e-vafā par nāzāñ
jo raqīboñ pe na guzrā thā vo mujh par guzrā
kyā muhīt-e-mai-e-be-rañg meñ tūfāñ aayā
josh-e-rañg anjuman-e-nāz se bāhar guzrā
tishna-e-hasrat-e-jāved huuñ maiñ kyā jānūñ
kyuuñ gale se mire talḳhāba-e-kausar guzrā
aao mere dil-e-afsurda kī tamkīñ dekho
jaao is kashmakash-e-nāz se maiñ dar-guzarā
luT ga.ī jaan to ummīd ke pahlū DhūñDe
miT ga.ī raah to andesha-e-rahbar guzrā
is takalluf se ga.ī umr-e-girāñ-māya 'vafā'
ek dam saiñkaḌoñ barsoñ ke barābar guzrā
Top Urdushayar.com