dasht aise gulshan meñ gul pe gul khilāne kī har adā mubārak ho
nannhe-munhe ġhunchoñ se ḳhud-kushī karāne kā mashġhala mubārak ho
par-burīda bulbul ne jis jagah bhī tinkoñ se ghoñsle banā.e the
vo chaman jalāne ko ab bhī tere hāthoñ meñ sā.iqa mubārak ho
tū ne jin bechāroñ ke kam-sinoñ kī lāshoñ par pā-e-taḳht rakkhe haiñ
un ke jism-e-uryāñ par tere jabr-e-be-jā kā dabdaba mubārak ho
ḳhuun bahā chukā ab tak to javāñ parindoñ kā chaaT lag chukī tujh ko
ab se shīr-ḳhvāroñ ke taaza ḳhūn-e-arzāñ kā zā.iqa mubārak ho
sūfiyoñ buzurgoñ ne naqsh-e-pā jo chhoḌe the sab miTā diye tū ne
vaqt ke darinde ab kusht-o-ḳhūn kā ik ik rāsta mubārak ho
jabr-e-mujrimāna se tū chaman pe qābiz hai ab bhī tasfiya kar le
varna gulsitāñ terā kal jahāñ ke naqshe par sar kaTā mubārak ho