Basheer Dada

safar mein rasta jo pur-KHatar mila tha mujhe

Basheer Dada

safar meñ rāsta jo pur-ḳhatar milā thā mujhe
bahut hī ḳhuub thā kyuuñ rāhbar milā thā mujhe
jahāñ meñ jab koī jins-e-garāñ-shanās na thā
to itnā besh-bahā kyuuñ guhar milā thā mujhe
phir us ke ba.ad mirā sar rahā na shānoñ par
dayār-e-ishq meñ vo sañg-e-dar milā thā mujhe
maiñ tā-hayāt farishtoñ ke par kutar letā
jigar kā dard magar muḳhtasar milā thā mujhe
chaman meñ yār-e-sharar-bār kī ḳhudā.ī meñ
shajar milā thā na koī samar milā thā mujhe
jo chāhtā use maiñ bhī tabāh kar detā
usī ke qurb meñ aisā hunar milā thā mujhe
sunā thā sūra-e-iḳhlās maiñ ne aazar se
sanam-kade meñ ḳhudā kā hī ghar milā thā mujhe
hai mo.ajiza ki vo sidra maqām tak pahuñchā
jo ek tā.ir-e-be-bāl-o-par milā thā mujhe
ye merī ābla-pā.ī mujhe mubārak ho
vo din yahī thā ki izn-e-safar milā thā mujhe
kabhī 'bashīr' ko maiñ ne junūñ meñ dekhā thā
ajiib sāhab-e-fahm-o-nazar milā thā mujhe
Top Urdushayar.com