Basheer Dada

mere nalon se jalte hain meri aahon se jalte hain

Basheer Dada

mire nāloñ se jalte haiñ mirī aahoñ se jalte haiñ
mire dil ke nihāñ-ḳhāne mire hāthoñ se jalte haiñ
haqīqat meñ masarrat kī bahāreñ jin ko hāsil haiñ
vahī aksar mire jhaḌte hue ḳhvāboñ se jalte haiñ
mirā un se lipaT jaanā vo ik lahza tasavvur thā
harīf-e-dil usī dam se mirī bāñhoñ se jalte haiñ
shab-e-ġham se mirī ruktī ukhaḌtī saañs chaltī hai
mire sab maut ke pyāse mirī rātoñ se jalte haiñ
vo āḳhir kesarī malbūs meñ uryāñ nikal aa.e
vo khul ke ab hamāre za.afarāñ-zāroñ se jalte haiñ
vo ḳhushbū naam jab se kar liyā vird-e-zabāñ maiñ ne
tabhī se itr ke tājir mirī sāñsoñ se jalte haiñ
Top Urdushayar.com