ye ġham bhī hai ki tere pyaar kā da.avā nahīñ kartā
ḳhushī bhī hai ki apne-āp se dhokā nahīñ kartā
agar maiñ ne tujhe duniyā pe qurbāñ kar diyā to kyā
yahāñ insān jiine ke liye kyā kyā nahīñ kartā
jo un sone kī dahlīzoñ pe jā kar ḳhatm hotī haiñ
maiñ un galiyoñ se ab terā pata pūchhā nahīñ kartā
vo jis par tū ne do dil ek nāvak se guzāre the
maiñ ab us peḌ ke saa.e meñ bhī baiThā nahīñ kartā
maiñ apne-āp ko DhūñDūñgā apnī shakl ke andar
maiñ apnī be-dilī kā aa.ina mailā nahīñ kartā
maiñ apne jism ke sāhil pe terī aarzū likkhūñ
yaqīñ ho gar ki paanī ret se guzrā nahīñ kartā