tire ba.ad is jahāñ meñ koī dūsrā nahīñ thā
are be-misāl tujh sā koī bevafā nahīñ thā
mirā Dūbtā safīna kahūñ kaise paar utrā
mire saath ik ḳhudā thā koī nā-ḳhudā nahīñ thā
tire ishq ke talātum ne Dubo diyā hai varna
to ai mauj-e-reg maiñ bhī koī bulbulā nahīñ thā
to ThiThurtī sardiyoñ meñ kabhī aag lene aatī
maiñ jigar jalā.e rakhtā koī dil-jalā nahīñ thā
vo misāl-e-ḳhvāb-e-manzar na lage palak palak se
koī ḳhvāb phir na jaage mujhe ye patā nahīñ thā
tire is marīz-e-dil tak tū kabhī pahuñch na paa.ī
tū ye baat so chhupā.e maiñ kahīñ chhupā nahīñ thā
maiñ tamām hosh kho kar tire dar pe jaañ se jaatā
tire ghar ke rāstoñ meñ kahīñ mai-kada nahīñ thā