paimāna tire lab haiñ āñkheñ tirī mai-ḳhāna
jis ne bhī tujhe dekhā terā huā dīvāna
is tarah badal jaanā ik pal meñ tirā saaqī
har shaḳhs bulātā hai kah kar tujhe begāna
mash.hūr zamāne meñ hai dariyā-dilī terī
ik jaam de mujh ko bhī ai sāqī-e-mastāna
ai sham.a terī lau meñ vo kaun sī ḳhūbī hai
jo tujh se gale mil kar jal jaatā hai parvāna
jo paas hai 'sāgar' ke sab kuchh hai tirā saaqī
jaañ bhī tirā tohfa hai dil bhī tirā nazrāna