Mohammad Siddiq Saib Tonki

nazzara-e-nigah ka unwan badal gaya

Mohammad Siddiq Saib Tonki

nazzāra-e-nigāh kā unvāñ badal gayā
vo kyā ga.e ki rañg-e-gulistāñ badal gayā
josh-e-junūn-e-ishq kā sāmāñ badal gayā
dāmāñ pe haath thā ki garebāñ badal gayā
mahsūs kar rahā huuñ har insāñ ko ajnabī
vo kyā badal ga.e ki har insāñ badal gayā
guzrā har inqalāb se daur-e-junūñ magar
dāmāñ badal gayā ki garebāñ badal gayā
vahshat-navāz ab vo nazāre nahīñ rahe
nazreñ badal ga.iiñ ki bayābāñ badal gayā
is chashm-e-iltifāt kā aalam na pūchhiye
aksar nizām-e-gardish-e-daurāñ badal gayā
kyā jaane 'sā.ib' aaj ye daurān-e-arz-e-shauq
kyuuñ daf.atan vo chehra-e-ḳhandāñ badal gayā
Top Urdushayar.com