Mohammad Siddiq Saib Tonki

faza KHamosh zamin dang aasman chup hai

Mohammad Siddiq Saib Tonki

fazā ḳhamosh zamīn dañg āsmāñ chup hai
zamāna chīḳh rahā hai magar jahāñ chup hai
TaToltā huuñ dar-e-tāq ajnabī kī tarah
mire makāñ ke añdheroñ meñ sham.a-dāñ chup hai
usī se ḳhatra-e-ifshā-e-rāz hai darpesh
vo aadmī jo hamāre hī darmiyāñ chup hai
bahut sambhal ke guzar zindagī ke lamhoñ se
na jaane gir paḌe kab ret kā makāñ chup hai
nigāh meñ koī manzil na koī samt-e-safar
havā ḳhamosh hai kashtī kā bādbāñ chup hai
tamāsha dekh rahe haiñ tire dayār ke log
maiñ ḳhud huuñ mehr-ba-lab merī dāstāñ chup hai
ye kaisā ulTā zamāna hai in dinoñ 'sā.ib'
ki āsmāñ ke zamīñ sar hai āsmāñ chup hai
Top Urdushayar.com