Mohammad Siddiq Saib Tonki

hui hai umr ki KHurshid se nazar na mili

Mohammad Siddiq Saib Tonki

huī hai umr ki ḳhurshīd se nazar na milī
hamāre hijr kī shab ko kahīñ sahar na milī
milī to un se magar fursat-e-nazar na milī
phir us ke ba.ad ḳhud apnī hameñ ḳhabar na milī
tire karam se zamāne meñ mujh ko kyā na milā
nahīñ milī to bas ik terī rahguzar na milī
khulā ye raaz ki nā-pā.edār hai duniyā
yahāñ kisī se koī baat mo'atabar na milī
asīr-e-halqa-e-dām-e-ḳhayāl hai ab tak
vo bad-nasīb jise tāb-e-bāl-o-par na milī
ḳhudā kī zaat se kuchh munharif rahe vo log
ki jin ko chashm milī chahsm-e-haq-nigar na milī
kahāñ kahāñ tire jalve na āshkār hue
kahāñ kahāñ tire jalvoñ se ye nazar na milī
har ik raat kī hotī to hai sahar lekin
hamārī raat ko arsa huā sahar na milī
ḳhudā kī shaan hai 'sā.ib' sab ek haiñ lekin
kisī bashar se kahīñ sūrat-e-bashar na milī
Top Urdushayar.com