kahāñ ye os nahīñ āftāb kī zad meñ
zamāna aaj bhī hai inqalāb kī zad meñ
zuhūr-e-zāviya-e-qā.ima se hai sābit
ye kā.enāt hai ilm-ul-hisāb kī zad meñ
agarche un kī tasallī meñ hai yaqīñ shāmil
dil-e-hazīñ hai magar iztirāb kī zad meñ
maiñ apne nāla-e-be-iḳhtiyār ke qurbāñ
jo naġhma ban ke na aayā rabāb kī zad meñ
vo dasht jis meñ ki dahshat hai be-karāñ 'sā.ib'
vo dasht hai dil-e-vahshat-ma.āb kī zad meñ